ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte marte hain wale un ki tamanna nahin karte
dar parda unhen gair se hai rabt-e-nihani zahir ka ye parda hai k parda nahin karte
yah bais-e-naumidi-e-arbab-e-hawas hai Galib ko bura kahte ho acha nahin karte